AL-Quran

AL-Quran
Aur Hum Ne Aap Ko Tamam Jahanon K Liye RAHMAT Bana Kar Bheja - AL-Quran

Aa Gaye Muzhda Shafa’at Ka Suna Anay Walay - Naat Lyrics

Aa Gaye Muzhda Shafa’at Ka Suna Anay Walay - Lyrics


Aa gae muzda shafa’at ka suna anay walay,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay walay.
Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay walay.
Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay walay.
Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki suna anay walay.
Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay walay.
Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at suna anay walay.

Nasheed Information:
Sana Khawan: Owais Raza Qadri